kahti hain ghanghor ghaTaen
kahtī haiñ ghanghor ghaTā.eñ
aap hameñ malhār sunā.eñ
marte vaqt farishta bole
camera dekh ke haath hilā.eñ
vaise itnī baat nahīñ thī
aap ko jaanā hai to jaa.eñ
be-samtī hai maiñ huuñ tum ho
aur ye nā-hanjār havā.eñ
bātoñ se kuchh kaam hai merā
mujh ko kaam kī baat batā.eñ
vo māyūs nigāhoñ vaalī
us se merī baat karā.eñ
apne apne zaḳhm sameTeñ
apnā apnā bojh uThā.eñ
dhartī maañ āġhosh bharegī
bain kareñgī būḌhī maa.eñ
kahti hain ghanghor ghaTaen
aap hamein malhaar sunaen
marte waqt farishta bole
camera dekh ke hath hilaen
waise itni baat nahin thi
aap ko jaana hai to jaen
be-samti hai main hun tum ho
aur ye na-hanjar hawaen
baaton se kuchh kaam hai mera
mujh ko kaam ki baat bataen
wo mayus nigahon wali
us se meri baat karaen
apne apne zaKHm sameTen
apna apna bojh uThaen
dharti man aaghosh bharegi
bain karengi buDhi maen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.