kahun bhi to kahun is ke siwa kya
kahūñ bhī to kahūñ is ke sivā kyā
ki maiñ kyā aur merā mudda.ā kyā
tirī mahfil se ai rashk-e-masīhā
ġham-e-dil ke sivā dil ko milā kyā
tire dāman meñ daulat do-jahāñ kī
mire dāman meñ dāman ke sivā kyā
gulistāñ hajla-e-ġham ban gayā hai
urūs-e-lāla-o-gul kā patā kyā
sar-e-sāhil charāġhāñ ho rahā hai
safīna phir bhañvar meñ aa gayā kyā
tumhārī shān-e-istiġhnā salāmat
mire hāl-e-zabūñ kā pūchhnā kyā
ḳhumār-āgīñ nazar maġhmūm chehra
kahīñ jām-e-mohabbat pī liyā kyā
tamannāoñ kā merī ḳhuun kar ke
tumheñ jān-e-tamannā mil gayā kyā
kahun bhi to kahun is ke siwa kya
ki main kya aur mera muddaa kya
teri mahfil se ai rashk-e-masiha
gham-e-dil ke siwa dil ko mila kya
tere daman mein daulat do-jahan ki
mere daman mein daman ke siwa kya
gulistan hajla-e-gham ban gaya hai
urus-e-lala-o-gul ka pata kya
sar-e-sahil charaghan ho raha hai
safina phir bhanwar mein aa gaya kya
tumhaari shan-e-istighna salamat
mere haal-e-zabun ka puchhna kya
KHumar-agin nazar maghmum chehra
kahin jam-e-mohabbat pi liya kya
tamannaon ka meri KHun kar ke
tumhein jaan-e-tamanna mil gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.