kahun ye kaise ki dil ko tera KHayal nahin
kahūñ ye kaise ki dil ko tirā ḳhayāl nahīñ
ye baat aur ki zāhir huā malāl nahīñ
taḌap rahā hai abhī tak ye dil usī ke liye
vo merā ishq hai aur ishq ko zavāl nahīñ
tamām umr sisakte hue hī guzregī
mire nasīb meñ jānāñ tirā visāl nahīñ
sabhī javāb mujhe ḳhāmushī meñ milte haiñ
tumhāre tarz-e-takallum kī bhī misāl nahīñ
to kyā huā jo agar luT gayā bharam merā
ki ek-tarfa mohabbat meñ kuchh kamāl nahīñ
sitam vo laakh kare saath mere haq hai use
mire laboñ pe shikāyat nahīñ savāl nahīñ
kināra ishq se us ke muhāl hai 'ushba'
vo jān-e-jāñ hai mirī jaan kā vabāl nahīñ
kahun ye kaise ki dil ko tera KHayal nahin
ye baat aur ki zahir hua malal nahin
taDap raha hai abhi tak ye dil usi ke liye
wo mera ishq hai aur ishq ko zawal nahin
tamam umr sisakte hue hi guzregi
mere nasib mein jaanan tera visal nahin
sabhi jawab mujhe KHamushi mein milte hain
tumhaare tarz-e-takallum ki bhi misal nahin
to kya hua jo agar luT gaya bharam mera
ki ek-tarfa mohabbat mein kuchh kamal nahin
sitam wo lakh kare sath mere haq hai use
mere labon pe shikayat nahin sawal nahin
kinara ishq se us ke muhaal hai 'ushba'
wo jaan-e-jaan hai meri jaan ka wabaal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.