kaif-o-surur qalb ke imkan hi gae
kaif-o-surūr qalb ke imkān hī ga.e
dil kyā gayā hayāt ke sāmān hī ga.e
vo vārdāt-e-qalb ke lamhe fanā hue
vo jin pe naaz thā mujhe armān hī ga.e
pahle to hausla na huā un se rabt kā
āḳhir ham apne dil kā kahā maan hī ga.e
ham ne to dard-e-dil ko hī darmāñ banā liyā
apne kiye pe aap pashemān hī ga.e
dekhā hai ham ne maut ko itnā qarīb se
is lomḌī kī chaal ko pahchān hī ga.e
ulTāo jaam bazm-e-tarab multavī karo
jo jān-e-mai-kada the vo mehmān hī ga.e
phir le chalā hai jānib-e-maqtal to chal chaleñ
ai qalb-e-zār terā kahā maan hī ga.e
vo aur hoñge jin ko navāzā jahān ne
duniyā se 'faiz' be-sar-o-sāmān hī ga.e
kaif-o-surur qalb ke imkan hi gae
dil kya gaya hayat ke saman hi gae
wo wardat-e-qalb ke lamhe fana hue
wo jin pe naz tha mujhe arman hi gae
pahle to hausla na hua un se rabt ka
aaKHir hum apne dil ka kaha man hi gae
hum ne to dard-e-dil ko hi darman bana liya
apne kiye pe aap pasheman hi gae
dekha hai hum ne maut ko itna qarib se
is lomDi ki chaal ko pahchan hi gae
ulTao jam bazm-e-tarab multawi karo
jo jaan-e-mai-kada the wo mehman hi gae
phir le chala hai jaanib-e-maqtal to chal chalen
ai qalb-e-zar tera kaha man hi gae
wo aur honge jin ko nawaza jahan ne
duniya se 'faiz' be-sar-o-saman hi gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.