kaif sa ab ho gaya paida gham-e-‘ayyam mein
kaif sā ab ho gayā paidā ġham-e-‘ayyām meñ
kyā tilism-e-sarḳhushī hai daur-e-sub.h-o-shām meñ
ḳhud-farebī ke sahāre zindagī kaTtī rahī
aasrā miltā rahā dil ko umīd-e-ḳhām meñ
zindagī kī 'ārzī ḳhushiyoñ pe ham marte nahīñ
ham ko jiinā aa gayā daur-e-ġham-o-ālām meñ
ik ishāra chāhiye saaqī kī chashm-e-mast ka
donoñ 'ālam ko Dubo saktā huuñ apne jaam meñ
allah allāh merī chashm-e-shauq kī yak-bīniyāñ
ek tum hī tum nazar aate ho bazm-e-‘ām meñ
raqs kartā hai tirī āñkhoñ meñ yuuñ josh-e-shabāb
kaif jaise jhūmtā hai bāda-e-gulfām meñ
zindagī meñ is qadar rusvā hue 'farhat' ki ab
parda-poshī DhūñDte haiñ maut ke paiġhām meñ
kaif sa ab ho gaya paida gham-e-‘ayyam mein
kya tilism-e-sarKHushi hai daur-e-subh-o-sham mein
KHud-farebi ke sahaare zindagi kaTti rahi
aasra milta raha dil ko umid-e-KHam mein
zindagi ki 'arzi KHushiyon pe hum marte nahin
hum ko jina aa gaya daur-e-gham-o-alam mein
ek ishaara chahiye saqi ki chashm-e-mast ka
donon 'alam ko Dubo sakta hun apne jam mein
allah allah meri chashm-e-shauq ki yak-biniyan
ek tum hi tum nazar aate ho bazm-e-‘am mein
raqs karta hai teri aankhon mein yun josh-e-shabab
kaif jaise jhumta hai baada-e-gulfam mein
zindagi mein is qadar ruswa hue 'farhat' ki ab
parda-poshi DhunDte hain maut ke paigham mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.