kaifiyat ek nai tashkil hui jati hai
kaifiyat ik na.ī tashkīl huī jaatī hai
vo jo banjar thā vahāñ jhiil huī jaatī hai
bārhā aap se milnā ki ḳhudā ḳhair kare
unsiyat ishq meñ tahlīl huī jaatī hai
koī chupke se sajā aaya hai ulfat ke gulāb
ḳhushbū ḳhushbū mirī zambīl huī jaatī hai
jis pe ḳhush-rang sī tasvīr sajā dī ga.ī ho
ziist dīvār kī vo kiil huī jaatī hai
pahlī bārish kī phuvāroñ kā asar hai shāyad
yaas ab aas meñ tabdīl huī jaatī hai
dil hamārā bhī huā jaatā hai jaltā huā 'dīp'
aap kī zaat jo qindīl huī jaatī hai
kaifiyat ek nai tashkil hui jati hai
wo jo banjar tha wahan jhil hui jati hai
barha aap se milna ki KHuda KHair kare
unsiyat ishq mein tahlil hui jati hai
koi chupke se saja aaya hai ulfat ke gulab
KHushbu KHushbu meri zambil hui jati hai
jis pe KHush-rang si taswir saja di gai ho
zist diwar ki wo kil hui jati hai
pahli barish ki phuwaron ka asar hai shayad
yas ab aas mein tabdil hui jati hai
dil hamara bhi hua jata hai jalta hua 'dip'
aap ki zat jo qindil hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.