kaifiyyat aisi hai nigah-e-mast-e-KHwab mein
kaifiyyat aisi hai nigah-e-mast-e-KHwab mein
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
kaifiyyat aisī hai nigah-e-mast-e-ḳhvāb meñ
zāhid bhī dekh le to nahāve sharāb meñ
kyoñ kyā kaheñge hazrat-e-yūsuf javāb meñ
chorī kiyā hai dil jo zuleḳhā kā ḳhvāb meñ
hoñToñ ko tar to karte ho qadh-e-sharāb meñ
aisā na ho ki aag lage āftāb meñ
hai josh-e-girya ab bhī vo chashm-e-pur-āb meñ
dariyā ke dam ko band kiyā hai habāb meñ
likkhā hai āshiqoñ ne ye dil kī kitāb meñ
haiñ pand man.a sunñe mohabbat ke baab meñ
chīñ-bar-jabīñ ho kis kā paḌā aks aab meñ
is tarah mauj-e-bahr jo hai pech-o-tāb meñ
bū aur maza vo hai tire muñh ke luaab meñ
goyā ghulā hai qand-e-mukarrar gulāb meñ
shāyad ki azm-e-kūcha-e-jānāñ hai dil ko aaj
bhejā hai pahle jaan ko jo pā-turāb meñ
gardish hai us kī chashm ko hastī meñ yā kahīñ
nargis kā phuul tair rahā hai sharāb meñ
apnā to vaqt yaad karo tum ne shaiḳh jī
kyā kyā maze uḌaa.e haiñ ahd-e-shabāb meñ
suntā hai ham-nashīñ nigah-e-nāz be-tarah
ghar kar ga.ī hai is dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ
chechak ke daaġh us ruḳh-e-tābāñ pe dekh lo
taare khile na dekhe hoñ gar āftāb meñ
mat ġhusl diijo dast-e-hinā.ī kā huuñ shahīd
nahlā chukā hai dashna mujhe ḳhūn-e-nāb meñ
le chakh to shoḳhī-e-lab-o-namkīnī-e-zaqan
kyā ḳhuub nuun mirch haiñ dil ke kabāb meñ
us kī sī kuchh yahīñ nahīñ kahte haiñ dād-gar
sab mil ke vaañ bhī cheñd kareñge hisāb meñ
ab yaañ se ka.abe ḳhaak uḌāne chale haiñ shaiḳh
bahr-e-savāb ḳhaak paḌe is savāb meñ
bāteñ sunā sunā ke Darā.eñge apne saath
zāhid na sāniyo tū kisī ko azaab meñ
miltā nahīñ kuchh aur gar ai chārāgar tujhe
lāchār kuchh to chain paḌe iztirāb meñ
zaḳhmoñ pe dil ke sūda-e-almās hī chhiḌak
hal kar ke ho so ho namak-o-mushk-e-nāb meñ
zabt-e-fuġhāñ meñ Dar hai mujhe 'aish' dil kahīñ
siine se bāhar aa na paḌe iztirāb meñ
kaifiyyat aisi hai nigah-e-mast-e-KHwab mein
zahid bhi dekh le to nahawe sharab mein
kyon kya kahenge hazrat-e-yusuf jawab mein
chori kiya hai dil jo zuleKHa ka KHwab mein
honTon ko tar to karte ho qadh-e-sharab mein
aisa na ho ki aag lage aaftab mein
hai josh-e-girya ab bhi wo chashm-e-pur-ab mein
dariya ke dam ko band kiya hai habab mein
likkha hai aashiqon ne ye dil ki kitab mein
hain pand mana sunne mohabbat ke bab mein
chin-bar-jabin ho kis ka paDa aks aab mein
is tarah mauj-e-bahr jo hai pech-o-tab mein
bu aur maza wo hai tere munh ke luab mein
goya ghula hai qand-e-mukarrar gulab mein
shayad ki azm-e-kucha-e-jaanan hai dil ko aaj
bheja hai pahle jaan ko jo pa-turab mein
gardish hai us ki chashm ko hasti mein ya kahin
nargis ka phul tair raha hai sharab mein
apna to waqt yaad karo tum ne shaiKH ji
kya kya maze uDae hain ahd-e-shabab mein
sunta hai ham-nashin nigah-e-naz be-tarah
ghar kar gai hai is dil-e-KHana-KHarab mein
chechak ke dagh us ruKH-e-taban pe dekh lo
tare khile na dekhe hon gar aaftab mein
mat ghusl dijo dast-e-hinai ka hun shahid
nahla chuka hai dashna mujhe KHun-e-nab mein
le chakh to shoKHi-e-lab-o-namkini-e-zaqan
kya KHub nun mirch hain dil ke kabab mein
us ki si kuchh yahin nahin kahte hain dad-gar
sab mil ke wan bhi chend karenge hisab mein
ab yan se kabe KHak uDane chale hain shaiKH
bahr-e-sawab KHak paDe is sawab mein
baaten suna suna ke Daraenge apne sath
zahid na saniyo tu kisi ko azab mein
milta nahin kuchh aur gar ai chaaragar tujhe
lachaar kuchh to chain paDe iztirab mein
zaKHmon pe dil ke suda-e-almas hi chhiDak
hal kar ke ho so ho namak-o-mushk-e-nab mein
zabt-e-fughan mein Dar hai mujhe 'aish' dil kahin
sine se bahar aa na paDe iztirab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.