kaifiyyat-e-dil aur hai ahwal-e-jigar aur
kaifiyyat-e-dil aur hai ahwal-e-jigar aur
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
kaifiyyat-e-dil aur hai ahvāl-e-jigar aur
ik dard kī sūrat hai idhar aur udhar aur
qad sarv hai gul chehra hai nāranj haiñ pistāñ
kyā lutf hai phal aur hai phuul aur shajar aur
har uzv-e-badan hai tirā nāyāb-e-zamāna
mauhūm dahan se bhī ziyāda hai kamar aur
shāhoñ ko faqīroñ pe sharaf ho nahīñ saktā
haañ izzat-e-zātī hai judā izzat-e-zar aur
saḳhtī bhī saho zulm bhī andher bhī dekho
'raushan' yūñhīñ duniyā meñ karo chande basar aur
kaifiyyat-e-dil aur hai ahwal-e-jigar aur
ek dard ki surat hai idhar aur udhar aur
qad sarw hai gul chehra hai naranj hain pistan
kya lutf hai phal aur hai phul aur shajar aur
har uzw-e-badan hai tera nayab-e-zamana
mauhum dahan se bhi ziyaada hai kamar aur
shahon ko faqiron pe sharaf ho nahin sakta
han izzat-e-zati hai juda izzat-e-zar aur
saKHti bhi saho zulm bhi andher bhi dekho
'raushan' yunhin duniya mein karo chande basar aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.