kaifiyyat-e-maal-e-mohabbat na puchhiye
kaifiyyat-e-ma.āl-e-mohabbat na pūchhiye
ye zindagī kī talḳh haqīqat na pūchhiye
jalva-faroz vo haiñ ba-rā'nā.ī-e-jamāl
aur infi’āl-e-zauq-e-tabī'at na pūchhiye
jis ko baḌā ḳhayāl hai dīvāngī meñ bhī
vārafta-e-junūñ kī firāsat na pūchhiye
kho baiThtā hai koī matā'-e-dil-o-nazar
aatī hai is tarah bhī qayāmat na pūchhiye
dil sā maqām jis ke liye nazr hai tamām
husn-e-ḳhayāl-e-yār kī rif'at na pūchhiye
ik jaam meñ kiyā hai haqā.eq se āshnā
ye pīr-e-mai-kada kī karāmat na pūchhiye
'in'ām' hai unhīñ se rag-o-pai meñ tāzgī
ehsās-o-husn-e-zauq kī daulat na pūchhiye
kaifiyyat-e-maal-e-mohabbat na puchhiye
ye zindagi ki talKH haqiqat na puchhiye
jalwa-faroz wo hain ba-ra'nai-e-jamal
aur infi’al-e-zauq-e-tabi'at na puchhiye
jis ko baDa KHayal hai diwangi mein bhi
warafta-e-junun ki firasat na puchhiye
kho baiThta hai koi mata'-e-dil-o-nazar
aati hai is tarah bhi qayamat na puchhiye
dil sa maqam jis ke liye nazr hai tamam
husn-e-KHayal-e-yar ki rif'at na puchhiye
ek jam mein kiya hai haqaeq se aashna
ye pir-e-mai-kada ki karamat na puchhiye
'in'am' hai unhin se rag-o-pai mein tazgi
ehsas-o-husn-e-zauq ki daulat na puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.