kai din ho gae ya-rab nahin dekha hai yar apna
ka.ī din ho ga.e yā-rab nahīñ dekhā hai yaar apnā
huā ma.alūm yuuñ shāyad kiyā kam un ne pyaar apnā
havā bhī ishq kī lagne na detā maiñ use hargiz
agar is dil pe hotā haa.e kuchh bhī iḳhtiyār apnā
ye dono lāzim-o-malzūm haiñ goyā ki aapas meñ
na yaar apnā kabhū hote sunāne rozgār apnā
huā huuñ ḳhaak us ke ġham meñ to bhī sīna-sāfī se
nahīñ khotā hai vo ā.īna-rū dil se ġhubār apnā
ye sho.ala sā tumhārā rañg kuchh zor hī jhamaktā hai
jalā kyūñkar na duuñ maiñ ḳhirman-e-sabr-o-qarār apnā
sar-e-fitrāk thā us ko na thā lekin nasīboñ meñ
taḌaptā chhoḌ kar jaatā rahā zālim shikār apnā
tujhe lāzim hai honā mehrbāñ 'tābāñ' pa ai zālim
ki hai betāb apnā āshiq apnā be-qarār apnā
kai din ho gae ya-rab nahin dekha hai yar apna
hua malum yun shayad kiya kam un ne pyar apna
hawa bhi ishq ki lagne na deta main use hargiz
agar is dil pe hota hae kuchh bhi iKHtiyar apna
ye dono lazim-o-malzum hain goya ki aapas mein
na yar apna kabhu hote sunane rozgar apna
hua hun KHak us ke gham mein to bhi sina-safi se
nahin khota hai wo aaina-ru dil se ghubar apna
ye shoala sa tumhaara rang kuchh zor hi jhamakta hai
jala kyunkar na dun main KHirman-e-sabr-o-qarar apna
sar-e-fitrak tha us ko na tha lekin nasibon mein
taDapta chhoD kar jata raha zalim shikar apna
tujhe lazim hai hona mehrban 'taban' pa ai zalim
ki hai betab apna aashiq apna be-qarar apna
- Deewan-e-Taban Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.