kai dinon se mohabbat ka kuchh wabaal nahin
ka.ī dinoñ se mohabbat kā kuchh vabāl nahīñ
tū muskurā ke pas-o-pesh meñ yuuñ Daal nahīñ
ka.ī sadī ke junūñ se use tarāshā hai
hamārā ishq koī do Take kā maal nahīñ
hamāre dil kā nagar kis ne phūñk Daalā hai
hamārī aañkh lagī thī hameñ ḳhayāl nahīñ
irāda hai ki tumheñ sharmsār dekhūñ maiñ
vagarna dil kī tabāhī kā yuuñ malāl nahīñ
baḌe sukūñ se guzar ho rahī hai ham sab kī
savāl ye ki kisī lab pe kyoñ savāl nahīñ
maiñ ādatan bhī zarā sā udaas rahtā huuñ
har ek baat mohabbat ke sar pe Daal nahīñ
kai dinon se mohabbat ka kuchh wabaal nahin
tu muskura ke pas-o-pesh mein yun Dal nahin
kai sadi ke junun se use tarasha hai
hamara ishq koi do Take ka mal nahin
hamare dil ka nagar kis ne phunk Dala hai
hamari aankh lagi thi hamein KHayal nahin
irada hai ki tumhein sharmsar dekhun main
wagarna dil ki tabahi ka yun malal nahin
baDe sukun se guzar ho rahi hai hum sab ki
sawal ye ki kisi lab pe kyon sawal nahin
main aadatan bhi zara sa udas rahta hun
har ek baat mohabbat ke sar pe Dal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.