kai dinon tak jab apne kamre se hum na nikle to log samjhe
kai dinon tak jab apne kamre se hum na nikle to log samjhe
Khalid Akhlaq
MORE BYKhalid Akhlaq
ka.ī dinoñ tak jab apne kamre se ham na nikle to log samjhe
kabhī kisī ko bahut satāte haiñ ye ujāle to log samjhe
badal ga.e jab kisī kī ġhurbat meñ aaj raste to log samjhe
thā jaanā schōl kaam par kyoñ ga.e vo bachche to log samjhe
hadaf pe muñh-zor āñdhiy.oñ ke faqat hamāre charāġh kab the
bikhar ga.e jab kisī gharauñde ke saare tinke to log samjhe
koī na maanā karāhateñ jab batā rahī thiiñ ki vaqt kam hai
jab un ke kāñdhoñ pe āḳhirī ham safar ko nikle to log samjhe
jo vaqt par hī na kaam aa.eñ to dost kyā haiñ aziiz kyā haiñ
kisī dukāñ par nahīñ chale jab ye khoTe sikke to log samjhe
haiñ bhiiḌ meñ bhī ham aaj tanhā ye ajnabiyyat kī dhuñdh kyā hai
uḌe dhueñ meñ na.e ta.alluq purāne rishte to log samjhe
jise samajhte haiñ shā.irī ham safar musalsal hai ḳhushbuoñ kā
ġhazal kī shāḳhoñ pe ḳhūbsūrat jo sher mahke to log samjhe
na diin par haiñ amal hamāre na fikr koī samāj kī hai
tarah tarah ke jab aaj ham par azaab utre to log samjhe
ġham-o-ḳhushī bhī to ik nasha hai sañbhalnā āsāñ nahīñ hai 'ḳhālid'
binā piye bhī qadam hamāre jo aaj bahke to log samjhe
kai dinon tak jab apne kamre se hum na nikle to log samjhe
kabhi kisi ko bahut satate hain ye ujale to log samjhe
badal gae jab kisi ki ghurbat mein aaj raste to log samjhe
tha jaana school kaam par kyon gae wo bachche to log samjhe
hadaf pe munh-zor aandhiyon ke faqat hamare charagh kab the
bikhar gae jab kisi gharaunde ke sare tinke to log samjhe
koi na mana karahaten jab bata rahi thin ki waqt kam hai
jab un ke kandhon pe aaKHiri hum safar ko nikle to log samjhe
jo waqt par hi na kaam aaen to dost kya hain aziz kya hain
kisi dukan par nahin chale jab ye khoTe sikke to log samjhe
hain bhiD mein bhi hum aaj tanha ye ajnabiyyat ki dhundh kya hai
uDe dhuen mein nae talluq purane rishte to log samjhe
jise samajhte hain shairi hum safar musalsal hai KHushbuon ka
ghazal ki shaKHon pe KHubsurat jo sher mahke to log samjhe
na din par hain amal hamare na fikr koi samaj ki hai
tarah tarah ke jab aaj hum par azab utre to log samjhe
gham-o-KHushi bhi to ek nasha hai sanbhalna aasan nahin hai 'KHalid'
bina piye bhi qadam hamare jo aaj bahke to log samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.