kai jalwe teri pahchan ke dhoke se nikle hain
ka.ī jalve tirī pahchān ke dhoke se nikle haiñ
siyāsat saiñkaḌoñ chehre tire chehre se nikle haiñ
hamāre daur ke bachche sabaq paḌhte haiñ chāhat kā
kitāboñ ke bajā.e dil har ik baste se nikle haiñ
har ik bhaa.ī kī ḳhvāhish hai ki baTvārā ho ab ghar kā
abhī ham mulk kī taqsīm ke sadme se nikle haiñ
idhar dekho yahāñ maañ hai udhar hai baap bachchoñ kā
zamāne bhar ke sab rishte isī rishte se nikle haiñ
rasan tak koī jaatā hai koī maqtal talak 'hāfiz'
jo raste husn vāloñ ke hasīñ kūche se nikle haiñ
kai jalwe teri pahchan ke dhoke se nikle hain
siyasat sainkaDon chehre tere chehre se nikle hain
hamare daur ke bachche sabaq paDhte hain chahat ka
kitabon ke bajae dil har ek baste se nikle hain
har ek bhai ki KHwahish hai ki baTwara ho ab ghar ka
abhi hum mulk ki taqsim ke sadme se nikle hain
idhar dekho yahan man hai udhar hai bap bachchon ka
zamane bhar ke sab rishte isi rishte se nikle hain
rasan tak koi jata hai koi maqtal talak 'hafiz'
jo raste husn walon ke hasin kuche se nikle hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.