kai qubul ek uski nahin se niklenge
ka.ī qubūl ik us kī nahīñ se nikleñge
kuchh āsmān to yāroñ zamīñ se nikleñge
tumhārā haath mirā haath jab pakaḌ legā
kisī ke haath mirī āstīñ se nikleñge
yahīñ ke logoñ ko phir yaad aa.egī yahīñ kī
yahīñ ke log bhalā jab kahīñ se nikleñge
vo log duur ke ab paas lag rahe haiñ magar
bhalā nazāre kabhī dūrbīñ se nikleñge
kai qubul ek us ki nahin se niklenge
kuchh aasman to yaron zamin se niklenge
tumhaara hath mera hath jab pakaD lega
kisi ke hath meri aastin se niklenge
yahin ke logon ko phir yaad aaegi yahin ki
yahin ke log bhala jab kahin se niklenge
wo log dur ke ab pas lag rahe hain magar
bhala nazare kabhi durbin se niklenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.