kai rishton kai naton ki duniya
ka.ī rishtoñ ka.ī nātoñ kī duniyā
faqat bāteñ haiñ bas bātoñ kī duniyā
sukūn-o-chain se ai sone vaale
tumheñ ma.alūm kyā rātoñ kī duniyā
ka.ī hissoñ meñ insāñ baT chukā hai
ka.ī tabqoñ ka.ī zātoñ kī duniyā
maiñ ḳhud ko chhoḌ aaya huuñ kahīñ pe
mire andar hai ik yādoñ kī duniyā
jise kahte ho tum ye dostī hai
vahī hai bichchhuoñ sāñpoñ kī duniyā
tirī duniyā haqīqat par hai mabnī
mirī duniyā mire ḳhvāboñ kī duniyā
kai rishton kai naton ki duniya
faqat baaten hain bas baaton ki duniya
sukun-o-chain se ai sone wale
tumhein malum kya raaton ki duniya
kai hisson mein insan baT chuka hai
kai tabqon kai zaton ki duniya
main KHud ko chhoD aaya hun kahin pe
mere andar hai ek yaadon ki duniya
jise kahte ho tum ye dosti hai
wahi hai bichchhuon sanpon ki duniya
teri duniya haqiqat par hai mabni
meri duniya mere KHwabon ki duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.