kai sapne adhure rah gae hain
ka.ī sapne adhūre rah ga.e haiñ
mirī muTThī meñ lamhe rah ga.e haiñ
ḳhushāmad kā hunar ham ko na aayā
isī baa.is to pīchhe rah ga.e haiñ
pareshāñ is liye phirte haiñ bādal
bahut se khet pyāse rah ga.e haiñ
ham apne ziist ke andhe safar meñ
akele the akele rah ga.e haiñ
bahut ḳhush ho charāġhoñ ko bujhā kar
vo dekho chāñd taare rah ga.e haiñ
kai sapne adhure rah gae hain
meri muTThi mein lamhe rah gae hain
KHushamad ka hunar hum ko na aaya
isi bais to pichhe rah gae hain
pareshan is liye phirte hain baadal
bahut se khet pyase rah gae hain
hum apne zist ke andhe safar mein
akele the akele rah gae hain
bahut KHush ho charaghon ko bujha kar
wo dekho chand tare rah gae hain
- Book : Loban (Pg. 103)
- Author : Nadeem Farrukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.