kai shaklon mein KHud ko sochta hai
ka.ī shakloñ meñ ḳhud ko sochtā hai
samundar paikaroñ kā silsila hai
badaltī rut kā nauha sun rahā hai
nadī soī hai jañgal jāgtā hai
bikharne vaalā ḳhud manzar-ba-manzar
mujhe kyuuñ zarra zarra joḌtā hai
suno to phir havā kā tez jhoñkā
kise āvāz detā jā rahā hai
havā kā haath thāme uḌ rahā huuñ
havā fāsil havā hī fāslā hai
hudūd-e-arz meñ gum hone vaalā
ufuq ko imkāñ imkāñ jāntā hai
kai shaklon mein KHud ko sochta hai
samundar paikaron ka silsila hai
badalti rut ka nauha sun raha hai
nadi soi hai jangal jagta hai
bikharne wala KHud manzar-ba-manzar
mujhe kyun zarra zarra joDta hai
suno to phir hawa ka tez jhonka
kise aawaz deta ja raha hai
hawa ka hath thame uD raha hun
hawa fasil hawa hi fasla hai
hudud-e-arz mein gum hone wala
ufuq ko imkan imkan jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.