kai zaKHm ab tak sanbhaale hue hain
kai zaKHm ab tak sanbhaale hue hain
Syed Saddam Gilani Murad
MORE BYSyed Saddam Gilani Murad
ka.ī zaḳhm ab tak sañbhāle hue haiñ
qalandar ke siine pe chhāle hue haiñ
tirī hasratoñ ke ka.ī daaġh le kar
mirī tīrgī meñ ujāle hue haiñ
ki bechārgī kā mazā ham se pūchho
ham un kī galī se nikāle hue haiñ
ye naġhme ye aaheñ ye naale tamāshā
ye ḳhūn-e-jigar ke nivāle hue haiñ
ye tahrīr-e-fan bhī unhīñ kā hai zevar
jo āh-o-fuġhāñ ke havāle hue haiñ
haiñ tere hī dam se samundar bhī raqsāñ
ye tū ne hī dariyā uchhāle hue haiñ
vo fāqa-kashī meñ ġhazal likh rahe the
janāze bhī jin ke maqāle hue haiñ
'murād'-e-jahāñ ab to bas hī karo tum
qalam-band kitne hī naale hue haiñ
kai zaKHm ab tak sanbhaale hue hain
qalandar ke sine pe chhaale hue hain
teri hasraton ke kai dagh le kar
meri tirgi mein ujale hue hain
ki bechaargi ka maza hum se puchho
hum un ki gali se nikale hue hain
ye naghme ye aahen ye nale tamasha
ye KHun-e-jigar ke niwale hue hain
ye tahrir-e-fan bhi unhin ka hai zewar
jo aah-o-fughan ke hawale hue hain
hain tere hi dam se samundar bhi raqsan
ye tu ne hi dariya uchhaale hue hain
wo faqa-kashi mein ghazal likh rahe the
janaze bhi jin ke maqale hue hain
'murad'-e-jahan ab to bas hi karo tum
qalam-band kitne hi nale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.