kaisa ajab tamasha dekh raha hun
kaisā ajab tamāshā dekh rahā huuñ
aalam aalam saayā dekh rahā huuñ
zarra zarra TuuT rahī hai dhartī
ḳhud ko jaise luTtā dekh rahā huuñ
rasta rasta sahl huā hai chalnā
aage aage saayā dekh rahā huuñ
mausam mausam phail rahī hai ḳhushbū
duur se tujh ko aatā dekh rahā huuñ
bauchhāroñ meñ baras rahe haiñ bādal
aur maiñ ḳhud ko jaltā dekh rahā huuñ
kaisa ajab tamasha dekh raha hun
aalam aalam saya dekh raha hun
zarra zarra TuT rahi hai dharti
KHud ko jaise luTta dekh raha hun
rasta rasta sahl hua hai chalna
aage aage saya dekh raha hun
mausam mausam phail rahi hai KHushbu
dur se tujh ko aata dekh raha hun
bauchhaaron mein baras rahe hain baadal
aur main KHud ko jalta dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.