kaisa andher kar gaya suraj
kaisā andher kar gayā sūraj
jaane ab kis Dagar gayā sūraj
un ke chehre kī tābnākī se
ho ke hairāñ Thahar gayā sūraj
pī ke har barg-o-gul kī rā'nā.ī
aaj kitnā nikhar gayā sūraj
kis ne dikhlāyā us ko ā.īna
apne chehre se Dar gayā sūraj
ham sunāte rahe kharī us ko
resha resha bikhar gayā sūraj
ġham nahīñ ab mujhe koī 'mohsin'
mere āñgan utar gayā sūraj
kaisa andher kar gaya suraj
jaane ab kis Dagar gaya suraj
un ke chehre ki tabnaki se
ho ke hairan Thahar gaya suraj
pi ke har barg-o-gul ki ra'nai
aaj kitna nikhar gaya suraj
kis ne dikhlaya us ko aaina
apne chehre se Dar gaya suraj
hum sunate rahe khari us ko
resha resha bikhar gaya suraj
gham nahin ab mujhe koi 'mohsin'
mere aangan utar gaya suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.