kaisa chakkar kaT ke aana paDta hai
kaisā chakkar kaaT ke aanā paḌtā hai
tere mere biich zamāna paḌtā hai
phir ashkoñ kī qismat jaage yā so.e
pahle to āñkhoñ meñ aanā paḌtā hai
merī maano mat is darja ḳhvāb buno
ḳhvāboñ kā mahsūl chukānā paḌtā hai
ḳhāmoshī to mar jaane kā hāsil hai
zinda rahne shor machānā paḌtā hai
tum bai-rāgī tum kyā jaano 'momin' jī
ulfat meñ kyā kar jaanā paḌtā hai
kaisa chakkar kaT ke aana paDta hai
tere mere bich zamana paDta hai
phir ashkon ki qismat jage ya soe
pahle to aankhon mein aana paDta hai
meri mano mat is darja KHwab buno
KHwabon ka mahsul chukana paDta hai
KHamoshi to mar jaane ka hasil hai
zinda rahne shor machana paDta hai
tum bai-ragi tum kya jaano 'momin' ji
ulfat mein kya kar jaana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.