kaisa dil aur is ke kya gham ji
kaisā dil aur is ke kyā ġham jī
yūñhī bāteñ banāte haiñ ham jī
kyā bhalā āstīn aur dāman
kab se palkeñ bhī ab nahīñ nam jī
us se ab koī baat kyā karnā
ḳhud se bhī baat kiije kam-kam jī
dil jo dil kyā thā ek mahfil thā
ab hai darham jī aur barham jī
baat be-taur ho ga.ī shāyad
zaḳhm bhī ab nahīñ hai marham jī
haar duniyā se maan le shāyad
dil hamāre meñ ab nahīñ dam jī
hai ye hasrat ke zab.h ho jā.ūñ
hai shikan us shikam ki zālim jī
kaise āḳhir na rang kheleñ ham
dil lahū ho rahā hai jānam jī
hai ḳharāba husainiya apnā
roz majlis hai aur mātam jī
vaqt dam bhar kā khel hai is meñ
besh-az-besh hai kam-az-kam jī
hai azal se abad talak kā hisāb
aur bas ek pal hai paiham jī
be-shikan ho ga.ī haiñ vo zulfeñ
us galī meñ nahīñ rahe ḳham jī
dasht-e-dil kā ġhazāl hī na rahā
ab bhalā kis se kījiye ram jī
kaisa dil aur is ke kya gham ji
yunhi baaten banate hain hum ji
kya bhala aastin aur daman
kab se palken bhi ab nahin nam ji
us se ab koi baat kya karna
KHud se bhi baat kije kam-kam ji
dil jo dil kya tha ek mahfil tha
ab hai darham ji aur barham ji
baat be-taur ho gai shayad
zaKHm bhi ab nahin hai marham ji
haar duniya se man le shayad
dil hamare mein ab nahin dam ji
hai ye hasrat ke zabh ho jaun
hai shikan us shikam ki zalim ji
kaise aaKHir na rang khelen hum
dil lahu ho raha hai jaanam ji
hai KHaraba husainiya apna
roz majlis hai aur matam ji
waqt dam bhar ka khel hai is mein
besh-az-besh hai kam-az-kam ji
hai azal se abad talak ka hisab
aur bas ek pal hai paiham ji
be-shikan ho gai hain wo zulfen
us gali mein nahin rahe KHam ji
dasht-e-dil ka ghazal hi na raha
ab bhala kis se kijiye ram ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.