kaisa lahja tha kis haal mein wo rahi ek hi sans mein
kaisā lahja thā kis haal meñ vo rahī ek hī saañs meñ
kahne vaalī kahānī mirī kah ga.ī ek hī saañs meñ
ye bhalā kyā ki ik ek ghūñT apne andar utartā rahe
mai agar tū ne piinī hai to saarī pī ek hī saañs meñ
ek hī saañs meñ hai samāyā huā ye jahāñ ai ḳhudā
ham ne saarī ḳhudā.ī tirī dekh lī ek hī saañs meñ
jitne bhī ahl-e-mahfil the muñh vo mirā dekhte rah ga.e
bazm meñ un kī tārīf kuchh aise kī ek hī saañs meñ
un ke hoñToñ kā lams aise chehre pe mahsūs hotā rahā
ham ne saarī hayātī yūñhī kaaT lī ek hī saañs meñ
ek hī saañs meñ ham ne 'tāhir' sabhī kuchh kahā aap se
jo bhī kahnā hai kah dījiye aap bhī ek hī saañs meñ
kaisa lahja tha kis haal mein wo rahi ek hi sans mein
kahne wali kahani meri kah gai ek hi sans mein
ye bhala kya ki ek ek ghunT apne andar utarta rahe
mai agar tu ne pini hai to sari pi ek hi sans mein
ek hi sans mein hai samaya hua ye jahan ai KHuda
hum ne sari KHudai teri dekh li ek hi sans mein
jitne bhi ahl-e-mahfil the munh wo mera dekhte rah gae
bazm mein un ki tarif kuchh aise ki ek hi sans mein
un ke honTon ka lams aise chehre pe mahsus hota raha
hum ne sari hayati yunhi kaT li ek hi sans mein
ek hi sans mein hum ne 'tahir' sabhi kuchh kaha aap se
jo bhi kahna hai kah dijiye aap bhi ek hi sans mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.