kaisa manzar tha ki kuchh tufan sa tha ek bar
kaisā manzar thā ki kuchh tūfān sā thā ek baar
chhīn kar tujh se maiñ dil ko le gayā thā ek baar
ye mirī ḳhush-qismatī thī bach gayā thā bāl-bāl
nafratoñ kā mujh pe bhī patthar girā thā ek baar
khulte hoñToñ par guloñ ke chhā ga.ī pazhmurdagī
kyā sabā ne dard kā tohfa diyā thā ek baar
aur kyā mujh ko tirī dahlīz se hāsil huā
kāġhzī ḳhushiyoñ kā guldasta milā thā ek baar
āsmāñ se gir paḌā andhī zamīñ ke jism par
be-tahāshā shauq kā taa.ir uḌā thā ek baar
maiñ havā-e-hijr kī tāsīr se huuñ bā-ḳhabar
bahr-e-āzam bhī laraz kar chīḳh uThā thā ek baar
kaisa manzar tha ki kuchh tufan sa tha ek bar
chhin kar tujh se main dil ko le gaya tha ek bar
ye meri KHush-qismati thi bach gaya tha baal-baal
nafraton ka mujh pe bhi patthar gira tha ek bar
khulte honTon par gulon ke chha gai pazhmurdagi
kya saba ne dard ka tohfa diya tha ek bar
aur kya mujh ko teri dahliz se hasil hua
kaghzi KHushiyon ka guldasta mila tha ek bar
aasman se gir paDa andhi zamin ke jism par
be-tahasha shauq ka tair uDa tha ek bar
main hawa-e-hijr ki tasir se hun ba-KHabar
bahr-e-azam bhi laraz kar chiKH uTha tha ek bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.