kaise aaine se is nau’ ka jauhar nikla
kaise ā.īne se is nau’ kā jauhar niklā
ye chaman-zār bhī kis dasht meñ aa kar niklā
ye sulaimān kī jangāh thī kiiḌī ḳhātir
mujh se jaise mutahārib koī lashkar niklā
ye raḌak aañkh meñ maujūd hai pahle din se
pāniyoñ se bhare maidān se patthar niklā
avval avval jo thā be-shakl vo puurā ho kar
ab mire varta-e-iz.hār se bāhar niklā
ek ik lafz se sad-rang matālib phūTe
jab kuaañ khodā to nīche se samundar niklā
us parinde ne nahīñ dekhī thī aisī vus'at
vo havā se kabhī nīche kabhī uupar niklā
jaisī maujūd thī dil meñ koī ḳhvāhish so vo hai
koī mushrik na koī makke se munkir niklā
kisī jānib bhī na palḌe bharā shāhīn girā
jis tarāzū pe bhī tolā vo barābar niklā
jo uḌā detā falak aur sitāroñ kā hujūm
āftāb aisā mirī rātoñ meñ aksar niklā
kaise aaine se is nau’ ka jauhar nikla
ye chaman-zar bhi kis dasht mein aa kar nikla
ye sulaiman ki jangah thi kiDi KHatir
mujh se jaise mutahaarib koi lashkar nikla
ye raDak aankh mein maujud hai pahle din se
paniyon se bhare maidan se patthar nikla
awwal awwal jo tha be-shakl wo pura ho kar
ab mere warta-e-izhaar se bahar nikla
ek ek lafz se sad-rang matalib phuTe
jab kuan khoda to niche se samundar nikla
us parinde ne nahin dekhi thi aisi wus'at
wo hawa se kabhi niche kabhi upar nikla
jaisi maujud thi dil mein koi KHwahish so wo hai
koi mushrik na koi makke se munkir nikla
kisi jaanib bhi na palDe bhara shahin gira
jis taraazu pe bhi tola wo barabar nikla
jo uDa deta falak aur sitaron ka hujum
aaftab aisa meri raaton mein aksar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.