kaise ajib dukh the dil mein chhupa ke lae
kaise ajiib dukh the dil meñ chhupā ke laa.e
gard-e-safar thī rah meñ bas ham uThā ke laa.e
har rah-guzar pe us ko rakhnā thā yaad so ham
anjān rāstoñ meñ ḳhud ko bhulā ke aa.e
jīvan kī dhuup meñ yuuñ tanhā safar thā apnā
sukh sab ko baañT Daale bas dukh uThā ke laa.e
apne the yā parā.e lahjoñ meñ bas chubhan thī
muskān apne lab par phir bhī sajā ke laa.e
paḌhtā nahīñ hai koī phir bhī likhā hai ham ne
suntā nahīñ hai koī lekin sunā ke aa.e
is vāste to shah haiñ mirī ruuh jal rahī hai
jīvan kī aag meñ ham ḳhud ko jalā ke aa.e
kaise ajib dukh the dil mein chhupa ke lae
gard-e-safar thi rah mein bas hum uTha ke lae
har rah-guzar pe us ko rakhna tha yaad so hum
anjaan raston mein KHud ko bhula ke aae
jiwan ki dhup mein yun tanha safar tha apna
sukh sab ko banT Dale bas dukh uTha ke lae
apne the ya parae lahjon mein bas chubhan thi
muskan apne lab par phir bhi saja ke lae
paDhta nahin hai koi phir bhi likha hai hum ne
sunta nahin hai koi lekin suna ke aae
is waste to shah hain meri ruh jal rahi hai
jiwan ki aag mein hum KHud ko jala ke aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.