Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise banaun hath pe taswir KHwab ki

Erum  Zehra

kaise banaun hath pe taswir KHwab ki

Erum Zehra

MORE BYErum Zehra

    kaise banā.ūñ haath pe tasvīr ḳhvāb

    mujh ko milī na aaj bhī ta.abīr ḳhvāb

    āñkhoñ se niiñd ruuTh ke jaane kidhar ga.ī

    kaTtī nahīñ hai raat ko zanjīr ḳhvāb

    jis shahr meñ ho ḳhvāb churāne vārdāt

    kaise karūñ vahāñ pe maiñ tash.hīr ḳhvāb

    ḳhvāboñ ne har qadam pe mujhe hausla diyā

    dekhī nahīñ hai tum ne kyā tāsīr ḳhvāb

    kab tak rahegī tīrgī tere ḳhayāl meñ

    raushan karegī us ko bhī tanvīr ḳhvāb

    us din to mere ḳhvāboñ ko pahchān jāoge

    jis din likhegā koī bhī tafsīr ḳhvāb

    ḳhvāboñ ko 'iram' ne asāsa banā liyā

    rahne do mere paas ye jāgīr ḳhvāb

    kaise banaun hath pe taswir KHwab ki

    mujh ko mili na aaj bhi tabir KHwab ki

    aankhon se nind ruTh ke jaane kidhar gai

    kaTti nahin hai raat ko zanjir KHwab ki

    jis shahr mein ho KHwab churane ki wardat

    kaise karun wahan pe main tashhir KHwab ki

    KHwabon ne har qadam pe mujhe hausla diya

    dekhi nahin hai tum ne kya tasir KHwab ki

    kab tak rahegi tirgi tere KHayal mein

    raushan karegi us ko bhi tanwir KHwab ki

    us din to mere KHwabon ko pahchan jaoge

    jis din likhega koi bhi tafsir KHwab ki

    KHwabon ko hi 'iram' ne asasa bana liya

    rahne do mere pas ye jagir KHwab ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now