kaise bataun ab mujhe kya kya nahin pasand
kaise batā.ūñ ab mujhe kyā kyā nahīñ pasand
bas tū pasand hai koī tujh sā nahīñ pasand
nīñdeñ uḌā ga.e jo in āñkhoñ ke ḳhvāb the
aisā nahīñ ki ab mujhe sonā nahīñ pasand
lauTā ke jab se aa.eñ haiñ copy vo us kī ham
tab se hameñ to apnā hī basta nahīñ pasand
pahle banāyā us ne to apnī tarah mujhe
kahtā hai ab ki maiñ use aisā nahīñ pasand
jismoñ ke raste aa ga.e haiñ dil talak to ham
āsāñ bahut hai par hameñ rastā nahīñ pasand
phir aap aise dariyā pe la.anat hī bhejiye
merī tarah kā gar use pyāsā nahīñ pasand
kaise bataun ab mujhe kya kya nahin pasand
bas tu pasand hai koi tujh sa nahin pasand
ninden uDa gae jo in aankhon ke KHwab the
aisa nahin ki ab mujhe sona nahin pasand
lauTa ke jab se aaen hain copy wo us ki hum
tab se hamein to apna hi basta nahin pasand
pahle banaya us ne to apni tarah mujhe
kahta hai ab ki main use aisa nahin pasand
jismon ke raste aa gae hain dil talak to hum
aasan bahut hai par hamein rasta nahin pasand
phir aap aise dariya pe lanat hi bhejiye
meri tarah ka gar use pyasa nahin pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.