kaise chhupaun raaz-e-gham dida-e-tar ko kya karun
kaise chhupā.ūñ rāz-e-ġham dīda-e-tar ko kyā karūñ
dil kī tapish ko kyā karūñ soz-e-jigar ko kyā karūñ
shorish-e-āshiqī kahāñ aur merī sādgī kahāñ
husn ko tere kyā kahūñ apnī nazar ko kyā karūñ
ġham kā na dil meñ ho guzar vasl kī shab ho yuuñ basar
sab ye qubūl hai magar ḳhauf-e-sahar ko kyā karūñ
haal merā thā jab batar tab na huī tumheñ ḳhabar
ba.ad mere huā asar ab maiñ asar ko kyā karūñ
kaise chhupaun raaz-e-gham dida-e-tar ko kya karun
dil ki tapish ko kya karun soz-e-jigar ko kya karun
shorish-e-ashiqi kahan aur meri sadgi kahan
husn ko tere kya kahun apni nazar ko kya karun
gham ka na dil mein ho guzar wasl ki shab ho yun basar
sab ye qubul hai magar KHauf-e-sahar ko kya karun
haal mera tha jab batar tab na hui tumhein KHabar
baad mere hua asar ab main asar ko kya karun
- Book : Junoon (Pg. 100)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.