kaise dam le ye zindagi meri
kaise dam le ye zindagī merī
ḳhaak jab Thahrī hijratī merī
Dhalte sūraj ke lab pe shikva hai
chāñd ko kyoñ dī raushnī merī
maiñ huuñ shīsha magar siyāsat kā
pattharoñ se hai dostī merī
merā ashkoñ se jashn hotā hai
tū ne dekhī nahīñ ḳhushī merī
merā matlūb bahtā mashkīza
hāsil-e-zīst tishnagī merī
na mire naam ke charāg jale
na havā hī kabhī chalī merī
maiñ misāl-e-patang-e-āvāra
Dor hī ab nahīñ rahī merī
maiñ na manzar hī huuñ na pas-manzar
kyoñ khalegī bhalā kamī merī
kaise dam le ye zindagi meri
KHak jab Thahri hijrati meri
Dhalte suraj ke lab pe shikwa hai
chand ko kyon di raushni meri
main hun shisha magar siyasat ka
pattharon se hai dosti meri
mera ashkon se jashn hota hai
tu ne dekhi nahin KHushi meri
mera matlub bahta mashkiza
hasil-e-zist tishnagi meri
na mere nam ke charag jale
na hawa hi kabhi chali meri
main misal-e-patang-e-awara
Dor hi ab nahin rahi meri
main na manzar hi hun na pas-manzar
kyon khalegi bhala kami meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.