kaise guzar rahe hain ye din raat kya kahen
kaise guzar rahe haiñ ye din raat kyā kaheñ
mujh se chhupe hue nahīñ hālāt kyā kaheñ
sab chashma-hā-e-chashm bahe phuuT phuuT ke
jis tarah ab ke barsī hai barsāt kyā kaheñ
kyā hādisa thā hijr-e-rafīqāñ batā.eñ kyā
kyā sāneha thā un se mulāqāt kyā kaheñ
tum jaan lo habīb jo mahsūs kar sako
kahne kī bhī nahīñ hai har ik baat kyā kaheñ
rahzan se bach ke nikle to vo āshnā milā
kaisī magar lagā.e hue ghaat kyā kaheñ
apnā sā ho jo madd-e-muqābil to baat ho
tujh se ham ai adū-e-kam-auqāt kyā kaheñ
'shaukat' adab ke naam par maqbūl-e-ām hai
kis kis tarah kā laġhv ḳhurāfāt kyā kaheñ
kaise guzar rahe hain ye din raat kya kahen
mujh se chhupe hue nahin haalat kya kahen
sab chashma-ha-e-chashm bahe phuT phuT ke
jis tarah ab ke barsi hai barsat kya kahen
kya hadisa tha hijr-e-rafiqan bataen kya
kya saneha tha un se mulaqat kya kahen
tum jaan lo habib jo mahsus kar sako
kahne ki bhi nahin hai har ek baat kya kahen
rahzan se bach ke nikle to wo aashna mila
kaisi magar lagae hue ghat kya kahen
apna sa ho jo madd-e-muqabil to baat ho
tujh se hum ai adu-e-kam-auqat kya kahen
'shaukat' adab ke nam par maqbul-e-am hai
kis kis tarah ka laghw KHurafat kya kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.