kaise guzre hain mah-o-sal to dekh
kaise guzre haiñ māh-o-sāl to dekh
aa mire ġham ke ḳhadd-o-ḳhāl to dekh
maiñ tirā dard pahne phirtā huuñ
jashn ke roz merā haal to dekh
dāman-e-tār taar phirtā hai
huliya-e-yūsuf-e-jamāl to dekh
ḳhud ko pahchān le kabhī shāyad
is ko jī se zarā nikāl to dekh
rut badalne meñ koī der nahīñ
shaam ke bādaloñ kī chaal to dekh
kaise guzre hain mah-o-sal to dekh
aa mere gham ke KHadd-o-KHal to dekh
main tera dard pahne phirta hun
jashn ke roz mera haal to dekh
daman-e-tar tar phirta hai
huliya-e-yusuf-e-jamal to dekh
KHud ko pahchan le kabhi shayad
is ko ji se zara nikal to dekh
rut badalne mein koi der nahin
sham ke baadalon ki chaal to dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.