kaise har dard ko sine mein chhupae rakkhen
kaise har dard ko sine mein chhupae rakkhen
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat
kaise har dard ko siine meñ chhupā.e rakkheñ
aur hoñToñ pe tabassum ko sajā.e rakkheñ
jo the apne vo zamāna huā sab chhoḌ ga.e
kab talak bazm ko ġhairoñ se sajā.e rakkheñ
ye sunā hai ki vahāñ der hai andher nahīñ
to chalo bahr-e-duā haath uThā.e rakkheñ
jab ye chhaT jā.eñge bādal to kiran phūTegī
sham' ummīd kī ik ham bhī jalā.e rakkheñ
yuuñ to bhūle se bhī ab yaañ na koī aa.egā
ehtiyātan hī magar ghar ko sajā.e rakkheñ
dil meñ soī huī chingārī ne karvaT lī hai
ab to is aag se dāman ko bachā.e rakkheñ
hogā 'nik.hat' se mo'attar ye chaman bhī ik roz
bas tirī yaad ke paudoñ ko lagā.e rakkheñ
kaise har dard ko sine mein chhupae rakkhen
aur honTon pe tabassum ko sajae rakkhen
jo the apne wo zamana hua sab chhoD gae
kab talak bazm ko ghairon se sajae rakkhen
ye suna hai ki wahan der hai andher nahin
to chalo bahr-e-dua hath uThae rakkhen
jab ye chhaT jaenge baadal to kiran phuTegi
sham' ummid ki ek hum bhi jalae rakkhen
yun to bhule se bhi ab yan na koi aaega
ehtiyatan hi magar ghar ko sajae rakkhen
dil mein soi hui chingari ne karwaT li hai
ab to is aag se daman ko bachae rakkhen
hoga 'nikhat' se mo'attar ye chaman bhi ek roz
bas teri yaad ke paudon ko lagae rakkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.