kaise hoga asar dawaon ka
kaise hogā asar davāoñ kā
maiñ to muhtāj huuñ duāoñ kā
naam shāmil hai be-vafāoñ meñ
ye sila hai merī vafāoñ kā
dil pe aa kar ke tū ne dī dastak
naqsh ubhrā hai tere paañv kā
aag lag jā.egī gulistāñ meñ
tazkira chhiḌ gayā adāoñ kā
ho chukā vaqt ai shaam kyā kahnā
zindagī khel dhuup chhāñv kā
kaise hoga asar dawaon ka
main to muhtaj hun duaon ka
nam shamil hai be-wafaon mein
ye sila hai meri wafaon ka
dil pe aa kar ke tu ne di dastak
naqsh ubhra hai tere panw ka
aag lag jaegi gulistan mein
tazkira chhiD gaya adaon ka
ho chuka waqt ai sham kya kahna
zindagi khel dhup chhanw ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.