kaise insan hain hum riDh ki haDDi ke baghair
kaise insān haiñ ham riiḌh kī haDDī ke baġhair
liye phirtī haiñ havā.eñ hameñ marzī ke baġhair
Thiik aatā nahīñ mujh par koī duniyā kā libās
āsmāñ vaale mirī naap ke darzī ke baġhair
koī ‘attār davā hī nahīñ detā ham ko
ai tabīb-e-maraz-e-jāñ tirī parchī ke baġhair
maiñ vahī huuñ ki banā baiThā huuñ kohsār-e-vujūd
tū ne bhejā thā jise zarra-e-hastī ke baġhair
sāhil-e-'ishq se aage nahīñ jaane kā badan
paar karnā hai ye dariyā tumheñ kashtī ke baġhair
mujh pe khultā hī nahīñ husn mire hone kā
apne ā.īne se ik 'aks kī chorī ke baġhair
haq bhī bātil sā nazar aatā hai us mahfil meñ
kabhī nā-vaqt chalā jā.ūñ jo mastī ke baġhair
na rahā dasht to jiinā mirā nā-mumkin hai
zinda rahnā koī mushkil nahīñ bastī ke baġhair
zulm terā tirā ik tarz-e-mohabbat bhī to thā
ḳhush rahūñ kaise bhalā maiñ tirī saḳhtī ke baġhair
'farhat-ehsās' koī yūñhī nahīñ ho jaatā
arz-e-tanhā.ī meñ is taḳht-nashīnī ke baġhair
kaise insan hain hum riDh ki haDDi ke baghair
liye phirti hain hawaen hamein marzi ke baghair
Thik aata nahin mujh par koi duniya ka libas
aasman wale meri nap ke darzi ke baghair
koi ‘attar dawa hi nahin deta hum ko
ai tabib-e-maraz-e-jaan teri parchi ke baghair
main wahi hun ki bana baiTha hun kohsar-e-wujud
tu ne bheja tha jise zarra-e-hasti ke baghair
sahil-e-'ishq se aage nahin jaane ka badan
par karna hai ye dariya tumhein kashti ke baghair
mujh pe khulta hi nahin husn mere hone ka
apne aaine se ek 'aks ki chori ke baghair
haq bhi baatil sa nazar aata hai us mahfil mein
kabhi na-waqt chala jaun jo masti ke baghair
na raha dasht to jina mera na-mumkin hai
zinda rahna koi mushkil nahin basti ke baghair
zulm tera tera ek tarz-e-mohabbat bhi to tha
KHush rahun kaise bhala main teri saKHti ke baghair
'farhat-ehsas' koi yunhi nahin ho jata
arz-e-tanhai mein is taKHt-nashini ke baghair
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 55)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.