kaise jale hain baal-o-par ye to sharar se puchhiye
kaise jale haiñ bāl-o-par ye to sharar se pūchhiye
mere junūñ kā vāqi.a mere jigar se pūchhiye
dil ko sukūñ na mil sakā tere baġhair 'umr bhar
tīr-e-nazar kī baat hai zauq-e-nazar se pūchhiye
merā to dil nikāl kar jaise hayāt rakh ga.ī
maiñ ne kyā thā us kā kyā us ke hī shar se pūchhiye
haa.e vo ik maqām par rahbar jahāñ pe ro diyā
ahl-e-safar pe guzrī kyā gard-e-safar se pūchhiye
mujh se ye pūchhiye mujhe kyā hai diyā hayāt ne
ahl-e-nazar kī baat to ahl-e-nazar se pūchhiye
nāzuk sī ek baat par tanhā jahān meñ ye dil
kitnā taḌap ke rah gayā dard-e-bashar se pūchhiye
insāñ ko kyā milā batā hastī tire vajūd se
kaise huī ye raushnī shams-o-qamar se pūchhiye
qaid-e-hayāt meñ bhī haañ shauq-e-sujūd ne mire
sajde luTā.e kitne haiñ un ke hī dar se pūchhiye
'ashraf' batā.e zindagī kaise ki sharmsār hai
apnā maqām aap ḳhud apnī nazar se pūchhiye
kaise jale hain baal-o-par ye to sharar se puchhiye
mere junun ka waqia mere jigar se puchhiye
dil ko sukun na mil saka tere baghair 'umr bhar
tir-e-nazar ki baat hai zauq-e-nazar se puchhiye
mera to dil nikal kar jaise hayat rakh gai
main ne kya tha us ka kya us ke hi shar se puchhiye
hae wo ek maqam par rahbar jahan pe ro diya
ahl-e-safar pe guzri kya gard-e-safar se puchhiye
mujh se ye puchhiye mujhe kya hai diya hayat ne
ahl-e-nazar ki baat to ahl-e-nazar se puchhiye
nazuk si ek baat par tanha jahan mein ye dil
kitna taDap ke rah gaya dard-e-bashar se puchhiye
insan ko kya mila bata hasti tere wajud se
kaise hui ye raushni shams-o-qamar se puchhiye
qaid-e-hayat mein bhi han shauq-e-sujud ne mere
sajde luTae kitne hain un ke hi dar se puchhiye
'ashraf' batae zindagi kaise ki sharmsar hai
apna maqam aap KHud apni nazar se puchhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.