kaise ji paunga juda ho kar
kaise jī pā.ūñgā judā ho kar
jā rahā hai koī ḳhafā ho kar
DhūñDhtā phir rahā hai mujh sā tū
kyā milā tujh ko bevafā ho kar
bhaTke logoñ ko mil ga.ī manzil
maiñ bichhā jab se rāsta ho kar
ghir gayā yaad se bichhaḌte hī
qaid meñ ho gayā rihā ho kar
pattharoñ par ye kyā asar kartī
lauT aa.ī mirī sadā ho kar
sāya-e-dīñ kā ye sila dekho
mil gayā hai sukūñ fanā ho kar
ham-safar jab se tū huā 'as.ad'
ishq ubhrā hai ḳhush-numā ho kar
kaise ji paunga juda ho kar
ja raha hai koi KHafa ho kar
DhunDhta phir raha hai mujh sa tu
kya mila tujh ko bewafa ho kar
bhaTke logon ko mil gai manzil
main bichha jab se rasta ho kar
ghir gaya yaad se bichhaDte hi
qaid mein ho gaya riha ho kar
pattharon par ye kya asar karti
lauT aai meri sada ho kar
saya-e-din ka ye sila dekho
mil gaya hai sukun fana ho kar
ham-safar jab se tu hua 'asad'
ishq ubhra hai KHush-numa ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.