kaise kaTenge shab-e-gham ko sahar hone tak
kaise kāTeñge shab-e-ġham ko sahar hone tak
ham pe kyā guzregī ye ma.arka sar hone tak
koī saudā-e-mohabbat kā ḳharīdār na thā
ghar ghar āvāra phirā hai mire sar hone tak
sar-e-saudā-zada zindāñ kī haqīqat kyā hai
dam na lenā kabhī dīvār ke dar hone tak
Dar kisī kā nahīñ saarī shab-e-ġham apnī hai
ḳhuub ro le dil-e-nākām sahar hone tak
jal gayā soz-e-mohabbat se mirā ḳhūn-e-jigar
is ko rahne na diyā la.al-o-gohar hone tak
āh-e-sozāñ se na.ī dasht meñ aa.ī hai bahār
dhuum thī ġhol kī tūfān-e-sharar hone tak
koī iḳhfā-e-ġham-e-ishq kī sūrat na rahī
aañsū bahte rahe dāman mirā tar hone tak
iztirāb-e-nigah-e-shauq huā māne-e-dīd
jalva poshīda rahā tāb-e-nazar hone tak
dānish-e-sirr-e-haqīqat thī isī par mauqūf
be-ḳhabar ho ga.e ham apnī ḳhabar hone tak
hai abhī se hameñ ādāb-e-mohabbat kā ḳhayāl
naam kar jā.eñge umar apnī basar hone tak
tum ko 'shākir' hai abas dād-e-suḳhan kī ummīd
kaun duniyā meñ rahe qadr-e-hunar hone tak
kaise kaTenge shab-e-gham ko sahar hone tak
hum pe kya guzregi ye marka sar hone tak
koi sauda-e-mohabbat ka KHaridar na tha
ghar ghar aawara phira hai mere sar hone tak
sar-e-sauda-zada zindan ki haqiqat kya hai
dam na lena kabhi diwar ke dar hone tak
Dar kisi ka nahin sari shab-e-gham apni hai
KHub ro le dil-e-nakaam sahar hone tak
jal gaya soz-e-mohabbat se mera KHun-e-jigar
is ko rahne na diya lal-o-gohar hone tak
aah-e-sozan se nai dasht mein aai hai bahaar
dhum thi ghol ki tufan-e-sharar hone tak
koi iKHfa-e-gham-e-ishq ki surat na rahi
aansu bahte rahe daman mera tar hone tak
iztirab-e-nigah-e-shauq hua mane-e-did
jalwa poshida raha tab-e-nazar hone tak
danish-e-sirr-e-haqiqat thi isi par mauquf
be-KHabar ho gae hum apni KHabar hone tak
hai abhi se hamein aadab-e-mohabbat ka KHayal
nam kar jaenge umar apni basar hone tak
tum ko 'shakir' hai abas dad-e-suKHan ki ummid
kaun duniya mein rahe qadr-e-hunar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.