kaise kabhi kisi ko dikhaega aaina
kaise kabhī kisī ko dikhā.egā ā.īna
jab ek dūsre ko laḌā.egā ā.īna
jis raushnī pe aks kā dār-o-madār hai
us raushnī ko kaun dikhā.egā ā.īna
fitrat meñ us kī nāz-ḳhirāmī nahīñ to phir
kyūñkar kisī ke naaz uThā.egā ā.īna
samjho ki aa.ine kā janāza nikal gayā
jis din amīr-e-shahr ko bhā.egā ā.īna
aisā nahīñ ki sirf sañvāregā shaḳhsiyat
ehsān bhī na tum pe jatā.egā ā.īna
pardā paḌā ho āñkhoñ pe mumkin to hai magar
mumkin nahīñ ki aib chhupā.egā ā.īna
kah do anā-parast se 'ahyā' ki jald hī
maiñ aur ham ke darmiyāñ aa.egā ā.īna
kaise kabhi kisi ko dikhaega aaina
jab ek dusre ko laDaega aaina
jis raushni pe aks ka dar-o-madar hai
us raushni ko kaun dikhaega aaina
fitrat mein us ki naz-KHirami nahin to phir
kyunkar kisi ke naz uThaega aaina
samjho ki aaine ka janaza nikal gaya
jis din amir-e-shahr ko bhaega aaina
aisa nahin ki sirf sanwarega shaKHsiyat
ehsan bhi na tum pe jataega aaina
parda paDa ho aankhon pe mumkin to hai magar
mumkin nahin ki aib chhupaega aaina
kah do ana-parast se 'ahya' ki jald hi
main aur hum ke darmiyan aaega aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.