kaise kaDakti dhup se chhanw mein aa gaya
kaise kaḌaktī dhuup se chhāñv meñ aa gayā
maiñ saTpaTā ke shahr se gaañv meñ aa gayā
ab is se age aur tamāshā banūñgā kyā
maiñ jang-jū thā ḳhvāja-sarāoñ meñ aa gayā
aise hī jaise chiiz ho koī girī-paḌī
sūraj kisī ġharīb ke paaoñ meñ aa gayā
merī nahīñ ye mere sitāroñ kī chaal thī
sahrā-nashīn uTh ke ḳhalāoñ meñ aa gayā
parvardigār ye terī qudrat kā faiz hai
taḳhlīq kā kamāl bhī maaoñ meñ aa gayā
kyā chhū liyā hai us ne zarā sā gulāb ko
khiltā huā gulāb adāoñ meñ aa gayā
dil muñh ke bal girā hai yahī soch soch kar
sar thā magar dhaḌām se paañv meñ aa gayā
jab tak thā ek rab kī ra.ī.yat meñ ḳhush rahā
'mas.ūd' phir maiñ itne ḳhudāoñ meñ aa gayā
kaise kaDakti dhup se chhanw mein aa gaya
main saTpaTa ke shahr se ganw mein aa gaya
ab is se age aur tamasha banunga kya
main jang-ju tha KHwaja-saraon mein aa gaya
aise hi jaise chiz ho koi giri-paDi
suraj kisi gharib ke paon mein aa gaya
meri nahin ye mere sitaron ki chaal thi
sahra-nashin uTh ke KHalaon mein aa gaya
parwardigar ye teri qudrat ka faiz hai
taKHliq ka kamal bhi maon mein aa gaya
kya chhu liya hai us ne zara sa gulab ko
khilta hua gulab adaon mein aa gaya
dil munh ke bal gira hai yahi soch soch kar
sar tha magar dhaDam se panw mein aa gaya
jab tak tha ek rab ki raiyat mein KHush raha
'masud' phir main itne KHudaon mein aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.