kaise kah deta koi kirdar chhoTa paD gaya
kaise kah detā koī kirdār chhoTā paḌ gayā
jab kahānī meñ likhā aḳhbār chhoTā paḌ gayā
sādgī kā nuur chehre se Tapaktā hai huzūr
maiñ ne dekhā jauharī bāzār chhoTā paḌ gayā
muskurāhaT le ke aayā thā vo sab ke vāste
itnī ḳhushiyāñ aa ga.iiñ ghar-bār chhoTā paḌ gayā
darjanoñ qisse-kahānī ḳhud hī chal kar aa ga.e
us se jab bhī maiñ milā itvār chhoTā paḌ gayā
ik bharosa hī mirā mujh se sadā laḌtā rahā
haañ ye sach hai us se maiñ har baar chhoTā paḌ gayā
us ne to ehsās ke badle meñ sab kuchh de diyā
fā.ede nuqsān kā bevpār chhoTā paḌ gayā
ghar meñ kamre baḌh ga.e lekin jagah sab kho ga.ī
buildingeñ ūñchī huī aur pyaar chhoTā paḌ gayā
mere sir par haath rakh kar mushkileñ sab le gayā
ik duā ke sāmne har vaar chhoTā paḌ gayā
chāhatoñ kī uñgliyoñ ne us kā kāñdhā chhū liyā
sone chāñdī motiyoñ kā haar chhoTā paḌ gayā
kaise kah deta koi kirdar chhoTa paD gaya
jab kahani mein likha aKHbar chhoTa paD gaya
sadgi ka nur chehre se Tapakta hai huzur
main ne dekha jauhari bazar chhoTa paD gaya
muskurahaT le ke aaya tha wo sab ke waste
itni KHushiyan aa gain ghar-bar chhoTa paD gaya
darjanon qisse-kahani KHud hi chal kar aa gae
us se jab bhi main mila itwar chhoTa paD gaya
ek bharosa hi mera mujh se sada laDta raha
han ye sach hai us se main har bar chhoTa paD gaya
us ne to ehsas ke badle mein sab kuchh de diya
faede nuqsan ka bewpar chhoTa paD gaya
ghar mein kamre baDh gae lekin jagah sab kho gai
buildingen unchi hui aur pyar chhoTa paD gaya
mere sir par hath rakh kar mushkilen sab le gaya
ek dua ke samne har war chhoTa paD gaya
chahaton ki ungliyon ne us ka kandha chhu liya
sone chandi motiyon ka haar chhoTa paD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.