kaise kah dun kahin elan nahin karta hai
kaise kah duuñ kahīñ e'lān nahīñ kartā hai
vo bhī ḳhāmoshī se ehsān nahīñ kartā hai
dil ko tahrīk-e-taraqqī to bahut miltī hai
hausla phir bhī ye nādān nahīñ kartā hai
aap ke naam se mansūb hue haiñ jab se
ab hameñ koī pareshān nahīñ kartā hai
kaam kartā hai bahut ġhair-zarūrī lekin
jo zarūrī hai vo insān nahīñ kartā hai
hai ye mumkin ho vahī shaḳhs munāfiq 'ālam'
jo bazāhir koī nuqsān nahīñ kartā hai
kaise kah dun kahin e'lan nahin karta hai
wo bhi KHamoshi se ehsan nahin karta hai
dil ko tahrik-e-taraqqi to bahut milti hai
hausla phir bhi ye nadan nahin karta hai
aap ke nam se mansub hue hain jab se
ab hamein koi pareshan nahin karta hai
kaam karta hai bahut ghair-zaruri lekin
jo zaruri hai wo insan nahin karta hai
hai ye mumkin ho wahi shaKHs munafiq 'alam'
jo bazahir koi nuqsan nahin karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.