kaise kahin ki jaan se pyara nahin raha
kaise kahīñ ki jaan se pyārā nahīñ rahā
ye aur baat ab vo hamārā nahīñ rahā
aañsū tire bhī ḳhushk hue aur mere bhī
nam ab kisī nadī kā kinārā nahīñ rahā
kuchh din tumhāre lauT ke aane kī aas thī
ab is umiid kā bhī sahārā nahīñ rahā
raste mah-o-nujūm ke tabdīl ho ga.e
in khiḌkiyoñ meñ ek bhī taarā nahīñ rahā
samjhe the dūsroñ se bahut muḳhtalif tujhe
kyā maan leñ ki tū bhī hamārā nahīñ rahā
hāthoñ pe bujh ga.ī hai muqaddar kī kahkashāñ
yā raakh ho gayā vo sitārā nahīñ rahā
tum e’tibār us ke liye kyuuñ udaas ho
ik shaḳhs jo kabhī bhī tumhārā nahīñ rahā
kaise kahin ki jaan se pyara nahin raha
ye aur baat ab wo hamara nahin raha
aansu tere bhi KHushk hue aur mere bhi
nam ab kisi nadi ka kinara nahin raha
kuchh din tumhaare lauT ke aane ki aas thi
ab is umid ka bhi sahaara nahin raha
raste mah-o-nujum ke tabdil ho gae
in khiDkiyon mein ek bhi tara nahin raha
samjhe the dusron se bahut muKHtalif tujhe
kya man len ki tu bhi hamara nahin raha
hathon pe bujh gai hai muqaddar ki kahkashan
ya rakh ho gaya wo sitara nahin raha
tum e’tibar us ke liye kyun udas ho
ek shaKHs jo kabhi bhi tumhaara nahin raha
- Book : Mujhe Koi Sham Udhar Do (Pg. 21)
- Author : Aitabar Sajid
- Publication : Ilm o Irfan Publishers Lahore (2007,2009)
- Edition : 2007,2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.