kaise kahun ki aaKHiri apni uDan hai
kaise kahūñ ki āḳhirī apnī uḌaan hai
is āsmāñ ke ba.ad bhī ik āsmān hai
zaḳhmoñ se chuur chuur badan lab pe jaan hai
aise meñ hausloñ kā mire imtihān hai
allāh-re ye shahr-e-nigārāñ ye merā dil
kachchā ghaḌā hai aur nadī meñ ufaan hai
mahloñ meñ ho udaas to aa jaao lauT kar
merā vahīñ pe aaj bhī kachchā makān hai
tū ne diyā jo zaḳhm vo bhar to gayā magar
dil par hamāre aaj bhī us kā nishān hai
parcham hamāre azm kā ab bhī buland hai
allāh kā hai shukr vahī ān-bān hai
'tashna' tū mushkilāt se himmat na hārnā
be-shak ḳhudā-e-pāk baḌā mehrbān hai
kaise kahun ki aaKHiri apni uDan hai
is aasman ke baad bhi ek aasman hai
zaKHmon se chur chur badan lab pe jaan hai
aise mein hauslon ka mere imtihan hai
allah-re ye shahr-e-nigaran ye mera dil
kachcha ghaDa hai aur nadi mein ufan hai
mahlon mein ho udas to aa jao lauT kar
mera wahin pe aaj bhi kachcha makan hai
tu ne diya jo zaKHm wo bhar to gaya magar
dil par hamare aaj bhi us ka nishan hai
parcham hamare azm ka ab bhi buland hai
allah ka hai shukr wahi aan-ban hai
'tashna' tu mushkilat se himmat na haarna
be-shak KHuda-e-pak baDa mehrban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.