kaise kahun ki us ka karam mujh pe ab nahin
kaise kahūñ ki us kā karam mujh pe ab nahīñ
vo shaḳhs bevafā hai magar be-adab nahīñ
maiñ vo sahīfa-e-saharī huuñ mire aziiz
jis ke kisī varaq pe bhī tahrīr-e-shab nahīñ
niklā thā jab safar pe hazāroñ the saath meñ
manzil pe chand log hī pahuñche the sab nahīñ
Takrā ke mujh se chuur huiiñ saarī mushkileñ
ab koī hādisa bhī mubāraz-talab nahīñ
maiñ ne to un kī shaan meñ kuchh bhī nahīñ kahā
nārāzgī kā un kī koī bhī sabab nahīñ
maiñ ne charāġh rakh diye har ik fasīl par
arsa huā ki tīrgī shikva ba-lab nahīñ
kaise kahun ki us ka karam mujh pe ab nahin
wo shaKHs bewafa hai magar be-adab nahin
main wo sahifa-e-sahari hun mere aziz
jis ke kisi waraq pe bhi tahrir-e-shab nahin
nikla tha jab safar pe hazaron the sath mein
manzil pe chand log hi pahunche the sab nahin
Takra ke mujh se chur huin sari mushkilen
ab koi hadisa bhi mubaraz-talab nahin
main ne to un ki shan mein kuchh bhi nahin kaha
naraazgi ka un ki koi bhi sabab nahin
main ne charagh rakh diye har ek fasil par
arsa hua ki tirgi shikwa ba-lab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.