kaise kahun ye tujhse gunahgar main nahin
kaise kahūñ ye tujh se gunahgār maiñ nahīñ
ik aadmī huuñ bas koī autār maiñ nahīñ
jitnā burā sulūk kiyā tū ne mere saath
itne bure sulūk kī haqdār maiñ nahīñ
ye aur baat hai ki sazā tū ne dī mujhe
lekin tujhe yaqīñ hai ḳhatāvār maiñ nahīñ
jab iḳhtilāf hai to bichhaḌnā hī Thiik hai
tū jāntā hai mujh ko riyā-kār maiñ nahīñ
jo kuchh hai dil meñ lab pe vahī aa chukā 'sahar'
huuñ sādgī-pasand adākār maiñ nahīñ
kaise kahun ye tujh se gunahgar main nahin
ek aadmi hun bas koi autar main nahin
jitna bura suluk kiya tu ne mere sath
itne bure suluk ki haqdar main nahin
ye aur baat hai ki saza tu ne di mujhe
lekin tujhe yaqin hai KHatawar main nahin
jab iKHtilaf hai to bichhaDna hi Thik hai
tu jaanta hai mujh ko riya-kar main nahin
jo kuchh hai dil mein lab pe wahi aa chuka 'sahar'
hun sadgi-pasand adakar main nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.