kaise kaise bhed chhupe hain pyar bhare iqrar ke pichhe
kaise kaise bhed chhupe haiñ pyaar bhare iqrār ke pīchhe
koī patthar taan rahā hai shīshe kī dīvār ke pīchhe
dil meñ aag lagā jaatā hai ye bin yaar bahār kā mausam
ek tapish bhī hotī hai is ThanDī sī phuvār ke pīchhe
soch abhī se phir kyā hogā biit ga.ī jab raat milan kī
ek udāsī rah jā.egī paa.el kī jhankār ke pīchhe
kaun lagā.e khoj kisī kā ḳhud-ġharzī ke is jañgal meñ
miltā hai insān yahāñ bhī lekin ek hazār ke pīchhe
nañgī ho kar naach rahī hai bhūkī rūhoñ kī majbūrī
jhāñk sako to jhāñk ke dekho jismoñ ke ambār ke pīchhe
ye hākim bhī dost hai merā ye nāseh bhī merā hamdam
kitne hī ġham-ḳhvār paḌe haiñ ek tire bīmār ke pīchhe
terā to ik dil TuuTā hai yaar 'qatīl' udaas na ho tū
log to jaañ bhī de dete haiñ pyāre apne yaar ke pīchhe
kaise kaise bhed chhupe hain pyar bhare iqrar ke pichhe
koi patthar tan raha hai shishe ki diwar ke pichhe
dil mein aag laga jata hai ye bin yar bahaar ka mausam
ek tapish bhi hoti hai is ThanDi si phuwar ke pichhe
soch abhi se phir kya hoga bit gai jab raat milan ki
ek udasi rah jaegi pael ki jhankar ke pichhe
kaun lagae khoj kisi ka KHud-gharzi ke is jangal mein
milta hai insan yahan bhi lekin ek hazar ke pichhe
nangi ho kar nach rahi hai bhuki ruhon ki majburi
jhank sako to jhank ke dekho jismon ke ambar ke pichhe
ye hakim bhi dost hai mera ye naseh bhi mera hamdam
kitne hi gham-KHwar paDe hain ek tere bimar ke pichhe
tera to ek dil TuTa hai yar 'qatil' udas na ho tu
log to jaan bhi de dete hain pyare apne yar ke pichhe
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 136)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.