Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise kaise dil-nashin KHwabon ke manzar le gaya

Syeda Shan-e-Meraj

kaise kaise dil-nashin KHwabon ke manzar le gaya

Syeda Shan-e-Meraj

MORE BYSyeda Shan-e-Meraj

    kaise kaise dil-nashīñ ḳhvāboñ ke manzar le gayā

    merī āñkhoñ se koī nīñdeñ churā kar le gayā

    aaj vo yādoñ dastāvez jhūTī ho ga.ī

    koī is bastī ke naqshe se mirā ghar le gayā

    chāñdnī rātoñ se vābasta thiiñ bazm-ārā.īyāñ

    chāñd kyā Duubā ki yādoñ muqaddar le gayā

    muddatoñ se haiñ uḌāneñ ek manzar meñ qaid

    noch kar jab se vo merī soch ke par le gayā

    ā.inoñ se duur vasf-e-ā.ina-dārī ko 'shān'

    log kahte haiñ ki koī ā.ina-gar le gayā

    kaise kaise dil-nashin KHwabon ke manzar le gaya

    meri aankhon se koi ninden chura kar le gaya

    aaj wo yaadon ki dastawez jhuTi ho gai

    koi is basti ke naqshe se mera ghar le gaya

    chandni raaton se wabasta thin bazm-araiyan

    chand kya Duba ki yaadon ka muqaddar le gaya

    muddaton se hain uDanen ek hi manzar mein qaid

    noch kar jab se wo meri soch ke par le gaya

    aainon se dur wasf-e-aina-dari ko 'shan'

    log kahte hain ki koi aaina-gar le gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now