kaise kaise kamal karta hun
kaise kaise kamāl kartā huuñ
sang ko ham-ḳhayāl kartā huuñ
ḳhvāb ḳhud ro haiñ saare āñkhoñ meñ
maiñ faqat dekh-bhāl kartā huuñ
ek hī kaam thā mohabbat kā
vo bhī ab ḳhāl-ḳhāl kartā huuñ
kyā mujhe rā.egāñ hī jaanā hai
ḳhud se aksar savāl kartā huuñ
sab manāzir se bach nikalne ko
ik taḳhayyul ko Dhaal kartā huuñ
merā ronā misāl hai lekin
raqs bhī be-misāl kartā huuñ
raushnī bhar ga.ī hai yuuñ mujh meñ
chāñd ko dil ḳhayāl kartā huuñ
kaise kaise kamal karta hun
sang ko ham-KHayal karta hun
KHwab KHud ro hain sare aankhon mein
main faqat dekh-bhaal karta hun
ek hi kaam tha mohabbat ka
wo bhi ab KHal-KHal karta hun
kya mujhe raegan hi jaana hai
KHud se aksar sawal karta hun
sab manazir se bach nikalne ko
ek taKHayyul ko Dhaal karta hun
mera rona misal hai lekin
raqs bhi be-misal karta hun
raushni bhar gai hai yun mujh mein
chand ko dil KHayal karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.