kaise kaise manzar meri aankhon mein aa jate hain
kaise kaise manzar merī āñkhoñ meñ aa jaate haiñ
yādoñ ke sab ḳhanjar merī āñkhoñ meñ aa jaate haiñ
merī pyāsī āñkheñ phir bhī rah jaatī haiñ pyāsī hī
yuuñ to saat samundar merī āñkhoñ meñ aa jaate haiñ
kis kī yaad kī ḳhushbū se maiñ din bhar mahkā rahtā huuñ
kis ke ḳhvāb sañvar kar merī āñkhoñ meñ aa jaate haiñ
kis kī yaad kā dariyā mere dil se ho kar bahtā hai
kis ke dard pighal kar merī āñkhoñ meñ aa jaate haiñ
jab bhī sochne lagtā huuñ maiñ tere mere baare meñ
aaTā daliyā daftar merī āñkhoñ meñ aa jaate haiñ
kaise kaise manzar meri aankhon mein aa jate hain
yaadon ke sab KHanjar meri aankhon mein aa jate hain
meri pyasi aankhen phir bhi rah jati hain pyasi hi
yun to sat samundar meri aankhon mein aa jate hain
kis ki yaad ki KHushbu se main din bhar mahka rahta hun
kis ke KHwab sanwar kar meri aankhon mein aa jate hain
kis ki yaad ka dariya mere dil se ho kar bahta hai
kis ke dard pighal kar meri aankhon mein aa jate hain
jab bhi sochne lagta hun main tere mere bare mein
aaTa daliya daftar meri aankhon mein aa jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.